Wednesday, 25 July 2012

Bhajan

SADGURU NAMAH
AADESH GURU KA

BHAJAN MAHIMA

                                                                        Bhajan ki kuch aisi mahima hai ki insaan usme sahaj roop se prabhu ko prapt kar leta hai. Grantho me kaha bhi gaya hai ki "Kalyug kewal naam adhara ,japat japt nar utarhi paara". Iska sabse bada udahran aap dekh sakte hai sarv shaktimaan param bhakt daas ke nath shree hanumaan ji jinhone kewal bhajno se shree raam chandra ji ki bhakti prapt ki aur ajar amar ho gaye.Meera devi unhone bhi apne bhajno se shyam sundar ka man moh liya aur ant me unhone prapt kiya aise aur bhi kayi maha purush hai jinhone is param pad ko prapt kiya.

                                                    Isliye aap sab daas ke prabhu bhajan ki mahima ko jaane aur jitna ho sake bhagwat bhajan me leen rahe kalyug me udhar ka kewal yehi ek saral  upaye hai.isliye prabhu aap sabhi se vinamra nivedan hai ki kabhi kahi na bhatke in baato ka anusaran kare aapke jeevan ke kashto ko daas ke prabhu chhan bhar me samet lenge.


aage jaari hai padte rahe............

NOTE:- Dharm ke saath khilwaad nahi saha jaega 

Agar aapko ye Bhajan Mahima achi lagi to kripya apne sujhav dijiye aur hume mail kare .Har samashya ka nidan paaye.Kewal ek Bilwa patra me samashya ka nidaan adhik jankari ke liye sampark kare 07879068111
Ek baar jarur sampark kare .Jai gurudev

No comments:

Post a Comment

jai sadgurudev